Most Famous URDU Ghazals
Suna hai log use Ankh bhar ke dekhte hain
- sunā
hai log use aañkh bhar ke dekhte haiñ
- so
us ke shahr meñ kuchh din Thahar ke dekhte haiñ
- sunā
hai rabt hai us ko ḳharāb-hāloñ se
- so
apne aap ko barbād kar ke dekhte haiñ
- sunā
hai dard kī gāhak hai chashm-e-nāz us kī
- so
ham bhī us kī galī se guzar ke dekhte haiñ
- sunā
hai us ko bhī hai sher o shā.irī se shaġhaf
- so
ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ
- sunā
hai bole to bātoñ se phuul jhaḌte haiñ
- ye
baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ
- sunā
hai raat use chāñd taktā rahtā hai
- sitāre
bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ
- sunā
hai din ko use titliyāñ satātī haiñ
- sunā
hai raat ko jugnū Thahar ke dekhte haiñ
- sunā
hai hashr haiñ us kī ġhazāl sī āñkheñ
- sunā
hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte haiñ
- sunā
hai raat se baḌh kar haiñ kākuleñ us kī
- sunā
hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte haiñ
- sunā
hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai
- so
us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ
- sunā
hai us ke laboñ se gulāb jalte haiñ
- so
ham bahār pe ilzām dhar ke dekhte haiñ
- sunā
hai aa.ina timsāl hai jabīñ us kī
- jo
saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte haiñ
- sunā
hai jab se hamā.il haiñ us kī gardan meñ
- mizāj
aur hī laal o guhar ke dekhte haiñ
- sunā
hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ meñ
- palañg
zāviye us kī kamar ke dekhte haiñ
- sunā
hai us ke badan kī tarāsh aisī hai
- ki
phuul apnī qabā.eñ katar ke dekhte haiñ
- vo
sarv-qad hai magar be-gul-e-murād nahīñ
- ki
us shajar pe shagūfe samar ke dekhte haiñ
- bas
ik nigāh se luTtā hai qāfila dil kā
- so
rah-ravān-e-tamannā bhī Dar ke dekhte haiñ
- sunā
hai us ke shabistāñ se muttasil hai bahisht
- makīñ
udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte haiñ
- ruke
to gardisheñ us kā tavāf kartī haiñ
- chale
to us ko zamāne Thahar ke dekhte haiñ
- kise
nasīb ki be-pairahan use dekhe
- kabhī
kabhī dar o dīvār ghar ke dekhte haiñ
- kahāniyāñ
hī sahī sab mubālġhe hī sahī
- agar
vo ḳhvāb hai tābīr kar ke dekhte haiñ
- ab
us ke shahr meñ Thahreñ ki kuuch kar jaa.eñ
- 'farāz'
aao sitāre safar ke dekhte haiñ
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a..
- ab
ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ
- jis
tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ
- DhūñDh
ujḌe hue logoñ meñ vafā ke motī
- ye
ḳhazāne tujhe mumkin hai ḳharāboñ meñ mileñ
- ġham-e-duniyā
bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo
- nashsha
baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ
- tū
ḳhudā hai na mirā ishq farishtoñ jaisā
- donoñ
insāñ haiñ to kyuuñ itne hijāboñ meñ mileñ
- aaj
ham daar pe khīñche ga.e jin bātoñ par
- kyā
ajab kal vo zamāne ko nisāboñ meñ mileñ
- ab
na vo maiñ na vo tū hai na vo maazī hai 'farāz
- jaise
do shaḳhs tamannā ke sarāboñ meñ mileñ
- ranjish
hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa
- aa
phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa
- kuchh
to mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh
- tū
bhī to kabhī mujh ko manāne ke liye aa
- pahle
se marāsim na sahī phir bhī kabhī to
- rasm-o-rah-e-duniyā
hī nibhāne ke liye aa
- kis
kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
- tū
mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
- ik
umr se huuñ lazzat-e-girya se bhī mahrūm
- ai
rāhat-e-jāñ mujh ko rulāne ke liye aa
- ab
tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ ummīdeñ
- ye
āḳhirī sham.eñ bhī bujhāne ke liye aa
Ab ke hum bichhDe to shayad kabhi KHwabon mein milen
- ab
ke ham bichhḌe to shāyad kabhī ḳhvāboñ meñ mileñ
- jis
tarah sūkhe hue phuul kitāboñ meñ mileñ
- DhūñDh
ujḌe hue logoñ meñ vafā ke motī
- ye
ḳhazāne tujhe mumkin hai ḳharāboñ meñ mileñ
- ġham-e-duniyā
bhī ġham-e-yār meñ shāmil kar lo
- nashsha
baḌhtā hai sharābeñ jo sharāboñ meñ mileñ
- tū
ḳhudā hai na mirā ishq farishtoñ jaisā
- donoñ
insāñ haiñ to kyuuñ itne hijāboñ meñ mileñ
- aaj
ham daar pe khīñche ga.e jin bātoñ par
- kyā
ajab kal vo zamāne ko nisāboñ meñ mileñ
- ab
na vo maiñ na vo tū hai na vo maazī hai 'farāz
- jaise
do shaḳhs tamannā ke sarāboñ meñ mileñ
- ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa
- aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa
- kuchh to mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh
- tū bhī to kabhī mujh ko manāne ke liye aa
- pahle se marāsim na sahī phir bhī kabhī to
- rasm-o-rah-e-duniyā hī nibhāne ke liye aa
- kis kis ko batā.eñge judā.ī kā sabab ham
- tū mujh se ḳhafā hai to zamāne ke liye aa
- ik umr se huuñ lazzat-e-girya se bhī mahrūm
- ai rāhat-e-jāñ mujh ko rulāne ke liye aa
- ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se haiñ ummīdeñ
- ye āḳhirī sham.eñ bhī bujhāne ke liye aa
0 Comments